Bin tere me kuch bhi nahi,
muje chu kar sona tune banaya hai....
ek anchui kali thi me,
tere pyaar me muje muje khilaya hai....
mere mann ko aisey chuwa tune,
jaise phoolo ko halke se chu jaye pawan....
bandhan juda tumse pyaar ka,
to hua yaakein ki zamein pe bhi hai khuda...
apne pyaar se tu anjaan hai,
tu hi meri pehchaan tu hi meri jaan hai....
mera kuch nahi sab hi tune diya hai,
me thi anjaan is rishtey ko pyar ka naam tune diya hai......

No comments:
Post a Comment